Sunday, 22 September 2013

khuda ka diya hua dard?

Kuch iss tarah shuru hua ye silsila.... Hamne pucha khuda se tune sansar ko pyaar ka dushman kyu bana diya
Khuda has kar bola tune kya mere sath acha kiya, Tune toh apne pyaar ko hi khuda bana diya

Har gali main har shahar main
Jhoomte baharon main
Sagar ki utt thi lehron main
Phoolon ki khushboon main

Har taraf dekha pyaar jo hamne
Thaama aanchal pyaar ka haste hue 
Dekha jo berehami iss sansaar ki hamne
Thaama aanchal pyaar ka haste hue hamne

bhavron main dekha jo phoolon se pyaar
chumte hue kinaro ko lehron ka dekha pyaar
har dubti kashti ka dekha sahara pyaar
jaana khuda ka karishma hai pyaar

andhere main guzarte hui chandni ko
karte dekha dharti se pyaar
hamne jaana khuda he pyaar hai
iss sansaar main pyaar he khuda hai

maine thama aanchal pyaar ka
jaana na kaanton ka aangan tha
har mod pe paaya dard bhara silsila
dekha majnuon k haat main jaam ka pyaala

gujarte hue pal k saat jab hum chale
na tha koi apna tha na koi paraya
kudrat ka khel dekh k maine jaana
har pal mout k muh main hai jaana

uparwale se ki guzarish jo
na dekha usne kisi ki aur jo
baarish bhi chubne lagi
zindagi ek saza si lagne lagi

pyar ka daaman jisne hai thaama
kaanton se ki dosti aur aandhiyon ka samna
dard k iss har lamhein main usne paaya
pyaar ko chunke khud ko har ghadi rulaya

dekhte dekhte pahuch gaya main jab
paaya khud ko kinare pe jab
khuda ko dekh k haste hue
raha na mera dil usse puchte hue

kyu zulm kiya tune aashikon pe
itni berahmi ki parwano se
root gaya mera dil duniya se
keh diya hamne khuda se

iss pal pal ki mout se acha na de woh kisiko zindagi
na ho pyaar na ho kisiko koi bandagi
jahan na ho koi laila ya majnu
jiski ashkon se rothi hai dharti bhi

maine jaan liya ek saza hai pyaar
aag ki lehron se leni hai saans woh hai pyaar
khoon ki holi khelna hai pyaar
russ jaane zindagi se ki dawa hai pyaar

Its my way of feeling, might b wrong for you but not for my heart...

No comments:

Post a Comment