Sunday, 15 September 2013


Awaara banke ghoom rahe the
Duniya se muh mod k chal diye the
Aasman k neeche khade dekhe jab se badal garaz
Kiya  iss dil ne mohabbat ka aagaaz 

Haathon main haath liye jab hum chale kinare
Jaise kho gaye the hum aapke sang thodke saari deeware
Har khushi main aapka saath humne paaya
Paaya tha har tanhai main aapka saaya

Muskurahat dekh k aapki khil uthi thi zindagi hamari
Dharthi bhi hame lag rahi thi jannat se pyaari
Baarish k un mousam main jo khaayi thi hamne kasme
Har saans k saath hamne nibhayi thi woh rasme

Thaama tha jab aapne hamara daaman
Girthe girthe sambhaala tha apne hame har sawan
Suraj k pehle kirano se bhi sundar tha aanchal aapka
Har pal khoye rehta tha yaadon main deewana aapka
                                                 
Fir garaz uthe badal pichle saawan ki tarah
Ched rahe the hame kuch iss tarah
Sang tere bitaye pal yaad aaye
Ashko se bhar uthe palkhein aap yaad aaye
Sang tere bitaye pal yaad aaye
Ashko se bhar uthe palkhein aap yaad aaye

Aapki har naraazgi hamse na hothi thi bardaash
Khil utt the jab aap hamse kehte the badmaash
Har pal dar sa jo tha dur hone ka
Has k dur kar de the dard dil ka

Jab se huye ho aap dur hamse…
Zindagi ne bhi muh mod liya hamse
Dard ne toh le liya hame aagosh main
Guzarte hai bache zindagi k pal behoshi main

Dil ne di hai awaaz aapko
Agar chaha hai hamne dilse aapko
Dua karte guzar rahe hai aapki salamati ki baaki pal issi khwaish main
Bhar de aapki jholi khushiyon se jitni bhi likhi thi hamare naseeb main

Ashko se bhar uthe palkhein aap yaad aaye……
Ashko se bhar uthe palkhein aap yaad aaye……

4 comments:

  1. nice one ....can feel the pain in ur poetry ...pen it down u will feel better my own experience

    ReplyDelete
  2. Fantastic poetry. Gifted talent.. keep it going.

    ReplyDelete