Wednesday 25 September 2013

aansun gire hai kitne gina nai sakta..

Hum roye toh bahot par unse mooh mod kar roye
Koi majboori thi jo dil todkar roye
Unke saamne kar diye hamare tasveer k tukde
unke peeche unhe jodkar ham roye

Dard kitne hai bata nahi sakta
zakhm kitne hai dikha nahi sakta
ankhon se samaj sako toh samajlo
aansun gire hai kitne gina nahi sakta

phool bhi kaantein lagne lage
baarish ne diya sahara muje
jitna tadap raha tha mai unki yaad mai
unki bewafai ne kiya bejubaan muje

kisise na kehne ki kasam hai leli
shayari se karli maine dosti
tanha raatein hai andhere se bhare hue
iss dard ki khabar kaash unhe hoti..

will be continued......

3 comments:

  1. loved the below lines .... bahut hi umnda ....
    Dard kitne hai bata nahi sakta
    zakhm kitne hai dikha nahi sakta
    ankhon se samaj sako toh samajlo
    aansun gire hai kitne gina nahi sakta

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you :) kuch ehsas ko kavitao mai bayan karne ka maza he alag hai

      Delete
    2. Thank you :) kuch ehsas ko kavitao mai bayan karne ka maza he alag hai

      Delete