Friday 27 September 2013

kuch iss tarah..

Baagho mai jhoomte masti se bhavre
baarish ki tap tapati boonde...
koshish thi kudrat ki hame khush rakne ki
kudrat bhi na rok paye jo khuda chahe..

Intezar agar taqdeer mai hai.. 
toh ye Imtehan bhi manzur hai..
Karke waada koi hamse root jaaye.. 
toh ye hamari badnaseebi hai..

jo pyara hai woh mil jaaye .. 
aise hamare taqdeer nahi hai..
jise khona na chaha.. 
aaj woh hamse koso door hai..

suraj ki tapti garmi bhi na jala paaya hame
samundar ki lehre bhi na tod paaya hame
toofan k laak koshish se bhi juka na paaya hame
bas ek dil k root jaane se, tootne se koi bacha na paaya hame..

besuri thi zindagi unke jaane se hamari..
lagti thi har pal ye saansein bhi sookhi..
kon kehte hai ki pyaar nahi iss duniya mai..
apne dhaadkano ko suno jaanoge kitna pyar hai khud mai..

Kuch iss tarah....


Wednesday 25 September 2013

aansun gire hai kitne gina nai sakta..

Hum roye toh bahot par unse mooh mod kar roye
Koi majboori thi jo dil todkar roye
Unke saamne kar diye hamare tasveer k tukde
unke peeche unhe jodkar ham roye

Dard kitne hai bata nahi sakta
zakhm kitne hai dikha nahi sakta
ankhon se samaj sako toh samajlo
aansun gire hai kitne gina nahi sakta

phool bhi kaantein lagne lage
baarish ne diya sahara muje
jitna tadap raha tha mai unki yaad mai
unki bewafai ne kiya bejubaan muje

kisise na kehne ki kasam hai leli
shayari se karli maine dosti
tanha raatein hai andhere se bhare hue
iss dard ki khabar kaash unhe hoti..

will be continued......

Monday 23 September 2013

Muskurake apne gamo ko chupana hamne seekh liya..
unse apne pyar ka izhar kiye bina rehna seekh liya..
saamne aaye who toh nazro ko jhuka liya..
apne dil k hazar tukde karke bhi saans lena seekh liya..

karte hai unse kitna pyar ye unse behtar koi na jaane..
fir bhi muskurake kisi aur k sang baahein milaye...
unse chale jaaye jitney dur bhi hum..
yaadein na chod aa sake unke paas hum..

izhaar karne ko bhi na chahe dil ab..
dur se dek k ek jalak ho gaye nam..
pad gayi jo unki nazre ham pe hogaye badnaam
ruth gayi muskurahat bhi hamse ho gaye gumnaam…



I took 15 mins to write this....

Sunday 22 September 2013

khuda ka diya hua dard?

Kuch iss tarah shuru hua ye silsila.... Hamne pucha khuda se tune sansar ko pyaar ka dushman kyu bana diya
Khuda has kar bola tune kya mere sath acha kiya, Tune toh apne pyaar ko hi khuda bana diya

Har gali main har shahar main
Jhoomte baharon main
Sagar ki utt thi lehron main
Phoolon ki khushboon main

Har taraf dekha pyaar jo hamne
Thaama aanchal pyaar ka haste hue 
Dekha jo berehami iss sansaar ki hamne
Thaama aanchal pyaar ka haste hue hamne

bhavron main dekha jo phoolon se pyaar
chumte hue kinaro ko lehron ka dekha pyaar
har dubti kashti ka dekha sahara pyaar
jaana khuda ka karishma hai pyaar

andhere main guzarte hui chandni ko
karte dekha dharti se pyaar
hamne jaana khuda he pyaar hai
iss sansaar main pyaar he khuda hai

maine thama aanchal pyaar ka
jaana na kaanton ka aangan tha
har mod pe paaya dard bhara silsila
dekha majnuon k haat main jaam ka pyaala

gujarte hue pal k saat jab hum chale
na tha koi apna tha na koi paraya
kudrat ka khel dekh k maine jaana
har pal mout k muh main hai jaana

uparwale se ki guzarish jo
na dekha usne kisi ki aur jo
baarish bhi chubne lagi
zindagi ek saza si lagne lagi

pyar ka daaman jisne hai thaama
kaanton se ki dosti aur aandhiyon ka samna
dard k iss har lamhein main usne paaya
pyaar ko chunke khud ko har ghadi rulaya

dekhte dekhte pahuch gaya main jab
paaya khud ko kinare pe jab
khuda ko dekh k haste hue
raha na mera dil usse puchte hue

kyu zulm kiya tune aashikon pe
itni berahmi ki parwano se
root gaya mera dil duniya se
keh diya hamne khuda se

iss pal pal ki mout se acha na de woh kisiko zindagi
na ho pyaar na ho kisiko koi bandagi
jahan na ho koi laila ya majnu
jiski ashkon se rothi hai dharti bhi

maine jaan liya ek saza hai pyaar
aag ki lehron se leni hai saans woh hai pyaar
khoon ki holi khelna hai pyaar
russ jaane zindagi se ki dawa hai pyaar

Its my way of feeling, might b wrong for you but not for my heart...

Friday 20 September 2013

Na rooto sajanji hamse aise, hui na koi khatha hamse
Na rooto balamji aise, na hogi kabhi koi khata hamse

Denge pyaar itna aapko,karegi yaad duniya humko,
Suraj aur chandrama denge duaaein humko,

Bichad k na jaaunga kabhi aapse main door
Chahe root jaaye ho jaaye duniya hamse door

Kasam khaate hai ham pyaar ki ,khone na aapko denge hum
Khushiyon ki baraat leke aayenge le jaayenge sang apne hum

Chahe karo kitni bhi koshish rutne ki hamse aap
Jaante hai lout ke aaoge hamare paas aap

Saanson se kabhi na dil ne toda naatha
Aansuon na kabhi ankhon ka choda saath

Ruh main bas gaye ho aap hamari
Jeene ki waja ho aap hamari

Roop ki rani ho aap, foolon k daaman main rakhunga aapko
Pariyon ki malika ho aap, khushiyon ki aanchal main chupaunga aapko


Loving Bandra Bandstand

Sunday 15 September 2013

first poem in english, back in 2007. not matured enuf but with feelings..

I love you my Angel ...I love you... I love you.. I love you my Angel

In every monsoon I hug you
In every winter I miss you
In every summer I hide you
I love you so much, I love you

I need you in my life
every life you as my wife
you know I love you
you believe truely I love only you

the moment you entered my life
i felt Angel has become my wife ;)
you are my Angel forever
no one can replace you ever

never wanna hide anything from you
ever wanna be open book for you
want you to be in my arm
you will surely feel warm

I will never hurt your heart
feelings of ours will never apart
kiss on forehead shows the care
for our love anything m ready to bare

see once into my eyes
you will find how much love lys
promise you, I promise you
none of us will ever cries

give me reason u get angry
will put those things and burry
your cheering face an sweet smiles
make my day and take me miles :)

I love you....I love you sweetheart......

As in all holy books they say
love happens only once on the way   (i mean on the way of life ;) )
forever...... and ever ....ever
in each others heart they stay

there is no alternative for love in any world
this was proved in all stages of people who ruled


I love you my Angel more than anything
I know you love me too and lot more caring
As on the buscuit come seats the cream
you reside in my heart always as Queen


When I hear you I love to hear you more
your sweet and caring words have touched me upto the core
when you say me I love you
my heart starts screaming same here for you

those 3 magical has changed my life
your love has given meaning for my life

when you put your fingers on my lips
my heart starts giving me kicks
when you are far from my eyes
I miss you jaan I say closing my eyes :)

when i look into your beautiful eyes
I can feel d love as stars in the sky
Moon in the sky is symbol of love
you are my heart, soul and Love

I love you my Angel ...I love you... I love you.. I love you my Angel

Copywright of mine.

I am still waiting for angel of mine

Awaara banke ghoom rahe the
Duniya se muh mod k chal diye the
Aasman k neeche khade dekhe jab se badal garaz
Kiya  iss dil ne mohabbat ka aagaaz 

Haathon main haath liye jab hum chale kinare
Jaise kho gaye the hum aapke sang thodke saari deeware
Har khushi main aapka saath humne paaya
Paaya tha har tanhai main aapka saaya

Muskurahat dekh k aapki khil uthi thi zindagi hamari
Dharthi bhi hame lag rahi thi jannat se pyaari
Baarish k un mousam main jo khaayi thi hamne kasme
Har saans k saath hamne nibhayi thi woh rasme

Thaama tha jab aapne hamara daaman
Girthe girthe sambhaala tha apne hame har sawan
Suraj k pehle kirano se bhi sundar tha aanchal aapka
Har pal khoye rehta tha yaadon main deewana aapka
                                                 
Fir garaz uthe badal pichle saawan ki tarah
Ched rahe the hame kuch iss tarah
Sang tere bitaye pal yaad aaye
Ashko se bhar uthe palkhein aap yaad aaye
Sang tere bitaye pal yaad aaye
Ashko se bhar uthe palkhein aap yaad aaye

Aapki har naraazgi hamse na hothi thi bardaash
Khil utt the jab aap hamse kehte the badmaash
Har pal dar sa jo tha dur hone ka
Has k dur kar de the dard dil ka

Jab se huye ho aap dur hamse…
Zindagi ne bhi muh mod liya hamse
Dard ne toh le liya hame aagosh main
Guzarte hai bache zindagi k pal behoshi main

Dil ne di hai awaaz aapko
Agar chaha hai hamne dilse aapko
Dua karte guzar rahe hai aapki salamati ki baaki pal issi khwaish main
Bhar de aapki jholi khushiyon se jitni bhi likhi thi hamare naseeb main

Ashko se bhar uthe palkhein aap yaad aaye……
Ashko se bhar uthe palkhein aap yaad aaye……